hum kaam ke naghme gate hain be-kar tarana kya jaanen jo sirf amal ke bande hain wo baat banana kya jaanen rag rag mein lahu ko garmate jate hain watan ki jai gate hum ahd-e-jawani ke mate budhon ka zamana kya jaanen tufan mein kashti khete hain kohsar se takkar lete hain hum jang mein sar de dete hain hum panw hatana kya jaanen bigdon ko banane aae hain ghurbat ko mitane aae hain hum aag bujhane aae hain hum aag lagana kya jaanen diwar wo kale zindan ki taswir wo zulm insan ki shahid hai hamare arman ki hum jaan churana kya jaanen wo husn-o-jawani ki raaten wo kaif-o-tarannum ki baaten wo lal-o-gohar ki barsaten hum log manana kya jaanen iflas ke mare bandon ke kis tarah bilakte hain bachche jo dekh rahe hain aankhon se wo jashn manana kya jaanen wo aur hain jo karte hain sitam khud shad hain duniya mahw-e-alam hum zakhm pe rakhte hain marham hum zakhm lagana kya jaanen be-khauf chale sanginon par aur rok li goli sinon par likkha hai hamari jabinon par hum sar ka jhukana kya jaanen