jahan mein gham bhi hai raushan-tarin sitaron mein dikhata rah hai zulmat ke kharzaron mein nahin surud mein chang-o-rabab mein bhi nahin wo ek lai ki hai tute dilon ke taron mein khizan ki shaukat-o-azmat hai un pe sab zahir jo dhundte use phirte rahe bahaaron mein khushi se husn nikharta hai zahiri lekin jamil ruhon ko paoge gham ke maron mein baghair dard nahin hai kabhi zuhur-e-hayat jigar ka khun ubharta hai shahkaron mein makin haram ke musibat ko un ki kya jaanen jo khak chhante hain ajnabi dayaron mein pasand aaya jo tute dilon ka izz-o-niyaz to bas gaya hai khuda bhi gunahgaron mein kabhi to dekhte tum aa ke gham nasibon ko hasin dagh hai sine ke lala-zaron mein