ghaalib

ghaalib ke fikr-o-fan ki zamane mein dhum hai
ghaalib hai aur ahl-e-nazar ka hujum hai

mehr-o-mah-o-nujum bhi be-shak buland hain
ghaalib buland az-mah-o-mehr-o-nujum hai

allah re ye aalam-e-nairangi-e-khayal
mauj-e-nasim hai kabhi baad-e-sumum hai

ghawwas-e-fikr ke liye ghaalib ki shaeri
ek bahr-e-be-kanar-e-funun-o-ulum hai

ghaalib-parast kuchh hain to ghaalib-shikan bhi kuchh
ahl-e-jahan ki rit yahi bil-umum hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close