kitni maghmum tabiat thi aaj dil ki duniya mein qayamat thi aaj yaad rah rah ke jigar aate the wo mohabbat wo haqiqat wo majaz wo taghazzul wo tarannum wo gudaz log dil tham ke rah jate the aaj ke din ne ye kya zulm kiya phir naya dard naya zakhm diya sabr kar ai dil-e-be-tab-o-hazin ek azmat ka sutun aur gira ek mashriq ka charagh aur bujha haif ki mao bhi ab hum mein nahin dard-e-dil aae na aae lab tak ye zamin aur falak hai jab tak yaad aaenge hamesha donon har gulistan mein har ek sahra mein chand suraj ki tarah duniya mein jagmagaenge hamesha donon aql hairan hai diwanon par shama ehsas hai parwanon par kaun kahta hai ye nadani hai marhala maut ka aata hai magar aadmi mar ke bhi rahta hai amar ishq har rang mein la-fani hai