chadhti kahin kahin se utarti hain sidhiyan jaane kahan kahan se guzarti hain sidhiyan yaadon ke jhilmilate sitare liye hue mazi ki kahkashan se utarti hain sidhiyan leti hain yun safar mein musafir ka imtihan hamwar raston pe ubharti hain sidhiyan karti hain sar ghurur ka niche utar kar pasti ka sar buland bhi karti hain sidhiyan tarikiyon ko odh ke soti hain raat-bhar suraj ki raushni mein nikharti hain sidhiyan hilti nahin hilae se sabit-qadam tale mahken agar qadam to bahakti hain sidhiyan mimbar pe chadh ke baithti hain waizon ke sath rindon se chhed-chhad bhi karti hain sidhiyan jab koi haal puchhne aae na muddaton andar se tut-phut ke marti hain sidhiyan yaadon ke phunk phunk ke rakhne pade qadam zakhmon se dil ke jab bhi sanwarti hain sidhiyan leti hain badh ke sab ke qadam to laga mujhe tanhai ke azab se darti hain sidhiyan yun dil mein teri baat utarti hai 'khwah-makhwah' gahre kuen mein jaise utarti hain sidhiyan