jhukega khak pe ye qasr-e-asman ek din hamare zer-e-qadam hogi kahkashan ek din badhega jaanib-e-manzil ye karwan ek din faza-e-arz-o-sama hogi ham-inan ek din hayat-e-khizr milegi har ek zarre ko hamara naqsh-e-qadam hoga jawedan ek din abhi jo khirman-e-ahl-e-wafa pe girti hain charagh-e-rah banengi wo bijliyan ek din ba-in yaqin o ba-in etiqad-e-husn-e-yaqin abhi to aaega wo ahd-e-khun-chakan ek din wo ahd jis mein azaem ke soz-o-saz ke sath uthega sina-e-mazdur se dhuan ek din hamare zauq-e-tajassus ki tishna-kaami ka zamana lega sar-e-dar imtihan ek din milenge bhes mein rahzan ke rahbaran-e-watan fareb denge hamare hi pasban ek din ye zar-parast ki hain inqilab ke dushman mita ke hum ko bahut honge shadman ek din chaman pe firqa-parasti ki aag barsa kar ye phunk denge har ek shakh-e-ashiyan ek din unhin ka tir hai wo 'godse' ho ya 'akbar' har ek bazm pe lachkegi ye kaman ek din banaenge yahi jamhuriyat ke parde mein hamare mulk pe ghairon ko hukmran ek din manaenge ye gharibon ke khun se holi ujad denge kisanon ki bastiyan ek din ye jaanashin hain rawan ke in ki sazish se uthengi ram ki azmat pe ungliyan ek din jilau mein in ke wo sailab-e-kisht-o-khun hoga laraz uthengi himala ki chotiyan ek din butan-e-dair nadamat se sar-nigun honge uthegi sina-e-naqus se fughan ek din