jaane kya sach hai yahan kahkashaon ka ye jadu ki guzar-gah-e-khayal koi tara ki dariche mein chamakta hua chand ya mere surkh papoton pe rakhe khwab ki wahshat ka ghubar ya kisi jism ko chhu lene ki khwahish mein bhatakti hui aankh ya rag-o-pai mein sulagti hui lazzat ka khumar koi inkar ki iqrar jaane kya sach hai yahan sham-e-afsos ka duba hua suraj ya koi subh-e-visal kahkashaon ka ye jadu ki guzar-gah-e-khayal koi paigham-e-mohabbat ye siyasat ya kisi halqa-e-zanjir mein jism rah mein jhukte hue sar ya kisi shah ke maghrur qadam ya kisi mauj mein aae hue majzub ka raunda hua taj ladkhadate hue paldon mein ye insaf ki bhik ye moarrikh ki lahu chatti mitti ka bayan jaane kya sach hai yahan apne hone ki haqiqat ya kisi qabr mein gade hue katbe ki darad ye khuda ya kisi dargah pe rakkhe hue aansu ki tapish mera iman ki sanam-khana-e-tanhai mein us but-e-kafir ki kashish apne marne ki tamanna hai ki jine ki khalish ai guzar-gah-e-khayal ab kisi roz to khul jae ye uqda aakhir ghaar ke munh se hatae koi patthar aa kar khak mein udte mah-o-sal ka asrar khule wo jo diwar ke us par hai is par khule