jahan-e-ilm ko taslim hai waqar tera adab ke phulon se daman hai lala-zar tera chaman mein yun to bahaar aati jati rahti hai magar sukhan ka hai gulshan sada-bahaar tera jamal-e-husn ki duniya mein kho gaya hai wo padha kalam hai jis ne bhi ek bar tera nazar-faroz wo mani wo dil-kusha alfaz ki hai bayaz ka har safha zar-nigar tera teri nazir nahin rifat-e-takhayyul mein sukhan hai arsh-e-mualla se ham-kanar tera tuyur-o-wahshi-o-insan-o-fitrat-e-rangin tere kalam mein yaksan hai sab se pyar tera khula waraq tha dil insan ka tere aage hai tarjumani-e-jazbaat shahkar tera nashat-e-wasl hai hasil tere fasanon mein isi tarane se hai saz naghma-bar tera wo tarjumani-e-tahzib-e-hind ki tu ne ki yaadgar-e-zamana hai rozgar tera diya hai shakespeare ko maqam maghrib ne hai gosha gosha-e-alam mein haq-guzar tera sharab-e-husn lutai hai tu ne khum ke khum rahega kaif se sarshaar baada-khwar tera hai tere naghmon ka shaida 'habib' muddat se isi sharab mein hai mast baada-khwar tera