gharib ki duniya

zamin se aasman tak sardiyon ka faiz jari hai
ki in khamosh raaton mein musalsal barf-bari hai

chhupe baithe hain sardi se parinde aashiyanon mein
jidhar dekho chhupe baithe hain sab apne makanon mein

hawaen sard chalti hain faza-e-asmani se
lute hain nuqrai kohre falak ki rajdhani se

magar is barf-bari se hai kya gham maldaron ko
ki dar tufan se kuchh hota nahin hai aabshaaron ko

musibat ki ghadi ka kya asar ho zar-paraston par
ki hoti hai zamin bhi tang aksar tang-daston par

guzar-auqat karte hain kabhi diwar ke niche
kabhi ashjar ke niche kabhi kohsar ke niche

ye duniya hai amiron ki gharibon ki nahin duniya
kahin par kash hoti na-tawanon ki bhi ek duniya

jahan par pet bharne ke liye nan-e-jawin milti
zara aaram karne ke liye thodi zamin milti

jahan in be-nawaon ka bhi hamdard aasman hota
jahan taskin-e-dil hoti jahan aaram-e-jaan hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close