har ek lamha ye sochta hun wo sare rishte tamam nate bandhe hue hain jo jism-e-zahir ki tazgi se unhen mita dun wo sare chehre likhe hon jo iztirab-e-jaan par unhen jala dun ki jism to khak ki sada hai rahegi khak-e-badan mein jab tak numu ki quwwat lahu ragon mein rawan rahega zamir-e-arman jawan rahega ye fasl rishton ki zehn-o-dil par ugi rahegi rafaqaton ki ghadi nazar mein khuli rahegi khuli hain aankhen to aasman ki bulandiyan hain har ek manzar giraft-e-fikr-o-shuur mein hai qadam zamin par thirak rahe hain to phul sare mahak rahe hain agar na ho jism mein hararat to aandhiyan zarra zarra us ka wajud bhi len tamam rishte tamam bandhan tamam nate asas thahre jo roz-o-shab ki har ek pahchan tod dalen wo sare mear jin ko dil ne wafa kaha hai bikhar ke gumnam ho bhi sakte hain ek pal mein kahin kisi ka nishan na paen zamin par aasman na paen yaqin na paen guman na paen koi kisi par kahin bhi phir mehrban na paen main in khalaon mein dil-shikasta na jaane kis ki talash mein hun pas-e-hijab-e-ghubar mein tirgi ke sae nazar jhukae badan churae main sirf itna samajh saka hun jahan mein koi nahin kisi ka yahi ishaara hai aagahi ka yahi hai anjam zindagi ka magar samajh ke bhi na-samajh hun nadi kinare bana raha hun main ret ke be-zaban gharaunde sabhi ko rishton mein bandhne ki ajib koshish samajh raha hun sabhi ko apna ajib si bhul kar raha hun