piri

sab baal pak gae hain kamar ho gai hai kham
aankhon se sujhta to hai lekin bahut hi kam

hathon mein kapkapi hai kabhi phulta hai dam
barham hain dant kahte hain thahrenge ab na hum

piri ne aa ke lut li daulat shabab ki
haalat bigad gai dil-e-khana-kharab ki

piri hai aadmi ke liye ek wabaal-e-jaan
aamad hai us ki maut ki aamad ka ek nishan

jab tan ki mamlikat pe ye hoti hai hukmran
taqat jawab deti hai munh dhota hai dhuan

hosh-o-hawas-o-aql-o-khirad josh-o-walwale
sab kahte hain pukar ke lo ab to hum chale

jhuk jata hai wo tir sa qad ho ke phir kaman
yani ki zindagi ka hai bar us pe ab giran

chalne mein bolte hain jo pairon ke ustukhwan
kahte hain apni zoaf-o-naqahat ki dastan

hai lutf-o-aish zist ki jab tak shabab hai
phir is ke baad zist samajh lo azab hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close