safar mera muqaddar tha safar mera muqaddar hai andheron ki jabin par main ne chhode naqsh-e-pa apne main dariya hun janam mujh ko diya hai barf-poshi sard raaton ne likha hai mere safhon par ki jab main qatra qatra jod kar mauj-e-yaqin ka pairahan pahnun to sab anjaan samten meri mutthi mein simat aaen jo parbat bap hai mera taras jae mujhe bahon mein bharne ko ye uncha aasman jhuk kar kabhi mere qadam chume safar mera muqaddar hai safar mera azal mera abad mera yaqin bhi hai mere qadmon ka gham karb-e-zamin bhi hai samundar rasta mera musalsal mujh ko chalna hai musalsal barf ki surat pighalna hai agar main baith jaun rah mein thak kar to ye pyase ujale mujh ko pi jaen agar main dasht ban jata agar sahra ki banhon mein bikhar jata samundar kaise kahlata hawaen sochtin mujh ko agar shoale hararat mujh mein bhar dete main dariya hun safar mera muqaddar hai mujhe rukna nahin hai sirf chalna hai chalo achchha hua tum ne mujhe aansu bana dala ki main ne aaj khud ko ek aansu ki tarah bahte tumhaari dubti aankhon mein dekha hai main dariya hun yahi aansu wirasat mein mila mujh ko mujhe lagta hai kuchh aisa main parbat se nahin shayad samundar se hi nikla hun