kali billi ne ye bhi nahin socha ki main kisi nind mein khalal ho rahi hun us ko to chuhon se matlab hai aur ye kam-bakht apni bilon mein chhupe kyun nahin rahte azal se yahi ho raha hai ghadi ne shayad bara baja diye hain ye khuda ke aaram ka waqt hai aur wo shab bedar use sone nahin dete apne burte par gunah karte to duaon ki naubat hi kyun aati lekin ye baat un ki samajh mein nahin aaegi baaton ke pher ne hi hum ko janam diya hai warna zamin ke kokh kahan thi phir hum ne jannat banai aur use jahannam mein jhonk diya ab ye pahchanna bada mushkil hai ki kaun kahan se shurua hota hai aur kaun kahan khatm hoti hai pahle daeron se zawiye nikalte the ab zawiye daere banate hain mukhtasar ye ki dalilon ne apna kaam chhod diya hai