meri palkon pe tabinda teri aankhon ke aansu mujhe tarik raaton mein nae raste sujhate hain wajudi wahimon ki sar-zaminon par main jab khud se bichhadti hun chamakti ret ke zarron ki surat jab bikharti hun mujhe wo apne nam se jod dete hain mujhe khud se milate hain main jab din ki bahut lambi masafat mein udasi ki thakan se chur hoti hun akele-pan ki wahshat mein bahut majbur hoti hun to gahri hanpti shamon ki dahlizon se wo akasr mujhe dhire se man! kah kar bulate hain teri aankhon ke aansu mujhe kaise anokhe silsilon se ja milate hain!!