dariya ke bich khada tyag aur moksh ke khwab dekh raha hun tarikudduniya alaeq se mahfuz alaeq se aazad lahren jab panw chhuti hain yaad aata hai bargad ka ghana ped mausamon ki gardish be-samt hawaon ke sard garm thapede dhyan laut aata hai ghar ke bargad ki muhafiz chhanw ki jaanib sunahri dhup ki sabz ot mukti ke dwar mujh par khol deti hai kharid lunga kabhi bazar se budh ka ek mujassama use shelf par saja dunga taskin milegi man shant rahega