hamare sath jo kuchh rahzan bhi hain makhuz wo ahl-e-shahr ke kahne se chhut jaenge gawah-e-kufr hamin mein hai kaun pahchane hamin to ek se lagte hain aaj sab chehre hamara jurm to ru-posh bhi nahin ab ke kisi gawah ki hajat nahin saza ke liye dayar-e-gham ki sada-e-nahufta pahchano hawa-e-jabr charagh-e-nafas ke dar pe hai ye aur baat hai khud ko chhupa raha hai magar wali-e-shahar sambhaale hai taj kanton ka hujum bahar-tamasha khada hai galiyon mein ye asr-e-khun ki kifalat ka muddai hai abhi salib dhund rahi hai kisi masih ko phir yahi ghadi hai har ilzam apne sar le lo