tumhein ye uzr hai tum ko jo di gai hai zamin wo mukhtasar hai bahut jo bazuon mein sameto to wo simat jae isi liye ho tum ehsas-e-kam-tari ka shikar aur un ko kitni iradat se dekhte ho jinhen zamin mili hai hudud-e-nigah se bhi bahut dur dur phaili hui suno zamin ki wusat to koi chiz nahin jo nasl aaegi kal wo haden na napegi faqat ye dekhegi ki jo latafat-e-qalb-o-nazar yahan par hai qarib o dur kahin bhi nahin kahin bhi nahin tum apne kandhon pe apna hi sar tulu karo safar shurua karo