hujum jis ki thokaron ki zarb se hawa mein hanpta hua ghubar chhat nahin raha ghubar mein jo khak hai zamin se udi hai ya kisi ke sard jism se khabar nahin khabar bhi ho to kya bigad le koi hujum hat nahin raha abad ki shakh-e-sabz par khila hua shabab ka gulab pattiyon mein bat nahin raha hujum be-sukun hai sawal mar nahin raha sawal ka zaban se juda hua jo tar hai wo tar kat nahin raha hujum hat nahin raha wo mar gaya hujum us ki man ki baddua se dar nahin raha hujum use chipakti pasliyon ke bal ghasitta chala gaya kisi ne us ke zakhm ko luab ka kafan diya koi badan ko lathiyon se pitta chala gaya qarib chand log aks-band kar rahe hain cameron mein aise khel ko ki jis mein sab khiladiyon ki aastin pe khun hai hujum ko junun hai hujum hat nahin raha main muntazir hun ek taraf mere aqab mein chup khadi hai ek muhafizon ki saf hujum hat nahin raha hujum se kaho hate ghubar jaane kab chhate main us ke dard se bhinche shikasta hath ki giraft se zara si nazm khinch lun muhafizon ka tarjuman dua-e-khair mein magan nahin nahin wo pahle se rata hua bayan rat nahin raha mashaal khan khair ho tamasha-gah se to raegan palat nahin raha hujum hat nahin raha