ye kaisa safar hai ki jis mein tere ghar ki chaukhat na guzri mere be-nawa panw ke aage pichhe tere ghar ki diwaron mein simta simta mere hisse ka ek be-mehr saya kabhi apne hujre se bahar na nikla ye kin raston se guzarna hua hai har ek mod par istifham-e-mukarrar ye mana ki hum sab ki sansen hain girwi ki ye waqt tera hi tabe na mera magar jaane kyon ek yaqin sa hai mujh ko tu chahe to tute tilism-e-zamana