sab kuchh yaad kar raha hun main koi baat bhula dene ko aur ye kaisi sachchai hai aaj bhulne ki koshish mein sadiyon ki tarikhen azbar kar baitha hun main hairan hun main hun pareshan kaise chhupaun haalat apni har koshish la hasil meri aur ye kamra ye diwaren khunti se latki shalwaren ye be-raunaq budhi raaten farsh pe lipti biti baaten ye sab mujh par bojh bane hain uf ye kaisa zulm hai mujh par jab bhi main nanga hota hun mere tan par chadar koi padi hoti hai wo bhi ek ghadi hoti hai jab sine par shahr khada ho tab kuchh be-mani chikhon se ek matlab ki chikh achanak main hathya lun aur kisi khamosh jagah tanha goshe mein sara matlab chhin jhapat kar fauran us ka gala daba dun main shayad kuchh bhul raha hun han main sab kuchh bhul chuka hun ab tanha khali kamre mein hath mein nanga chhura dabae daud raha hun bhag raha hun ye bhi mujh ko yaad nahin ab soya hun ya jag raha hun qatl ke fauran baad magar phir wo sab ka sab yaad rahega jise bhulne ki koshish mein sadiyon ki tarikhen azbar kar baitha hun