main apna nam aur paidaish khoj rahi hun ek aisi khurdbin se jis mein pachchiswin sadi ki aankhen lagi hui hain wo aankhen jin ki putli safed aur saklira siyah hai wo aankhen jo dur tak dekh sakti hain aur aathwan rang pahchan sakti hain jinhen baiswin sadi ne daryaft karne ka dawa kiya tha magar ye alamiya jis ki kokh waqt ke wajud se khali hai meri paidaish ke lamhe ko kisi calender mein nishan-zad karne se qasir hai shayad mera janm tin sau sadsathwen din ke kisi ghair-matbua lamhe mein hua tha jise tashhir karte hue khuda-e-asli apni la-mahdudiat ki duhai deta raha aur khiraj leta raha magar phir pluto ki sard aahen khamosh ho gain surkh patthar wale surkh pattharon mein chun diye gae wajudiyat pa-shikasta wajud se ma-baad-wajudiyat ki tawilen gadhti rahi aur main apni khoj ke patal mein janmon ki kahani dohraate dohraate nizam-e-shamsi ke daere se bahar ja padi be-kinariyat ke samundar mein jahan har natija sifar hai