jangalon ki hawa

waqt-e-rukhsat udas aur maghmum aawaz mein
us ne mujh se kaha tha

tumhein khubsurat hasin doston ki
rifaqat mayassar hai main kaun hun

meri qurbat ki har aarzu
sirf jazb-e-pareshan hai ek roz aakhir mujhe bhul jaoge tum

mujhe yaad karna bhi chahoge shayad magar kar na paoge tum
kal ki lagti hai barson purani ye be-nam si dastan

mujhe khubsurat hasin doston ki
rifaqat mayassar hai main roz-o-shab

chachahata hun baaton ke jangal ugata hun jin mein mujhe
mere dushman mere khun ke pyase kai jangali jaanwar dhundte hain

ju-e-yaad-e-hasin ki rawani mein koi sulagta hua aks hai
wo mujhe apni jaanib

ishaaron se aksar bulata hai
manus hai garche lekin mera kaun hai

aaj tahlil hota hun aks-e-rawan mein
tere jism mein

jangalon ki hawa
chikhti hai musalsal mere jism mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close