kyun hairat se takti hai ek ek chehre ko kya tujh ko shikwa hai teri goyai ki taqat chhin ke qudarat ne be-insafi ki hai? kya tujh ko ehsas hai tere pas agar guftar ki neamat hoti to is chaaron jaanib phaili hathiyaron ki duniya sina dahla dene wale tayyaron ki insan-kush aawazen aawazen jin mein insan ki ruh shabana roz dabi jati hai mahshar-khez aawazen kal-purzon ki jin se nafsi-nafsi ka aalam paida ho kar din par din ifrit ki surat mein badhta jata hai in aawazon ki haibat-naki par wawaila karti tu aawaz uthati us fashi aur tassub phailane wale unsur ko badhta pa kar jo hubb-ul-watani ke nam pe insan-kush hota jata hai tu un rujhanat ki khub mazammat karti un se ladti jo is duniya ko pichhe le jaane mein koshan hain 'mazhab aur tahzib' 'saqafat' aur 'taraqqi' kah kar rajat-parwar ho jate hain le main tujh ko apni goyai deta hun! ye mere kaam nahin aai kuchh main aisa buzdil hun jo har be-insafi ko chupke chupke sahta hai jis ne 'maqtal' aur 'qatil' donon dekhe hain lekin danai kah kar apni goyai ko gunga kar rakha hai!