kasafat-e-zindagi ki zulmat mein sham-e-haq zau-fishan ho kaise jahan ki bujhti hui nigahon ko jagmagata hai baam-e-nanak na pak koi na koi napak koi uncha na koi nicha guru ka ye mai-kada hai is ja har ek ko milta hai jam-e-nanak yahan mite aa ke tafraqe sab rahi na aaludgi koi bhi ye harf-e-ulfat, ye taur-e-irfan, ye arsh-e-insan, ye nam-e-nanak