muflis yahan nahin hain ki bewa yahan nahin aisa koi nahin hai jo aafat-nishan nahin ye baat misl-e-shams ayan hai nihan nahin aazad gar nahin hai to hindostan nahin zikr-e-chaman zaban par laya na jaega ab qissa-e-bahaar sunaya na jaega mahsus kar raha hun bataya na jaega aazad agar nahin hai to hindostan nahin zulm-o-sitam se kaam liya ja raha hai aaj insaf ko tabah kiya ja raha hai aaj har mulk ko farogh diya ja raha hai aaj aazad agar nahin hai to hindostan nahin ye kah ke kis ne qalb-e-do-alam hila diya shaitan laraz utha to malak muskura diya khwab-e-adam se kushta-e-gham ko jaga diya aazad agar nahin hai to hindostan nahin har chand aa raha hai zamane mein inqalab lekin zaban-e-haal se kahta hai aaftab nasli ghulam dekh rahe hain hanuz khwab aazad agar nahin hai to hindostan nahin takhta ulat na jae kahin kaenat ka qulzum mein gharq ho na safina hayat ka deta nahin jawab koi meri baat ka aazad agar nahin hai to hindostan nahin sayyaad ko jhinjhod rihai isi mein hai tauq-e-ghulami tod rihai isi mein hai ro ro ke kahna chhod rihai isi mein hai aazad agar nahin hai to hindostan nahin duniya tuli hui hai baghawat pe aaj-kal kya dekhta hai tegh utha tewri badal maidan-e-kar-zar mein kahta hua nikal aazad agar nahin hai to hindostan nahin sehat dil-o-dimagh baqa aur zindagi in neamaton se dur rahe aah aadmi is par ye lutf hai ki nahin ye bhi aagahi aazad agar nahin hai to hindostan nahin duniya ka har nizam badal jaega kabhi har har mariz-e-mulk sambhal jaega kabhi ye kahte kahte dam bhi nikal jae kabhi aazad agar nahin hai to hindostan nahin insan zindabaad ke nare buland kar dair-o-haram ke roz ke jhagdon se dar-guzar ahl-e-jafa ke samne kahte hue na dar aazad agar nahin hai to hindostan nahin tufan ka nadim tabahi ka yar hun baghi hun aur dushman-e-sabr-o-qarar hun lekin watan ke haal pe matam-gusar hun aazad agar nahin hai to hindostan nahin insaniyat ki dahr mein tazlil kyun na ho sarmaya-dar lut rahe hain gharib ko 'shatir' agar yaqin na ho aa ke dekh lo aazad agar nahin hai to hindostan nahin