ai rahbar-e-manzil teri raftar ke sadqe ai mehr-e-munawwar tere anwar ke sadqe ai band-e-haq-go teri guftar ke sadqe ai sahab-e-iman tere kirdar ke sadqe to banda-o-sahab bhi tha muhtaj-o-ghani bhi jalwon ka amin bhi tere lab pe arini bhi har chehra-e-mardum ke khad-o-khal bure the dekho jise us shakhs ke aamal bure the mulla ke bhi pandit ke bhi aamal bure the jo jhut ne phailae the wo jal bure the sachcha tera din aur teri raat bhi sachchi sachcha tera sauda teri har baat bhi sachchi is dar ka pujari koi us dar ka pujari maghrib ka pujari koi khawar ka pujari mina ka pujari koi saghar ka pujari qabron ka pujari koi banjar ka pujari kasrat thi yahan shirk ki tauhid nahin thi rozon ka bhulawa tha magar id nahin thi tu hindu-o-muslim ke gunahon se tha waqif mazhab ki sisakti hui aahon se tha waqif to shoabada-bazon ki nigahon se tha waqif to manzil-e-tauhid ki rahon se tha waqif dar haq ke kabhi banda-e-haji pe khule hain ganga mein naha kar bhi kabhi pap dhule hain tu ne ye kaha sab se bada hukm-e-razai tu ne ye kaha sanch ki qimat nahin pai tu ne ye kaha so ke ye sab umr ganwai tu ne ye kaha jhut hai sab zuhd-e-riyai pur-mani-o-pur-maghz hain neki ke ishaare har haal mein har rang mein rahbar hain hamare main mast-e-mai-e-ishq hun tan rish-e-qalandar tirath hai agar koi to is man ke hai andar jaun main kahan sajde ko man mera hai mandir hai azm mera fateh-e-dara-o-sikandar gate hain jise dewta bhi chaudah ratan bhi raqsan hai usi dar pe meri jaan bhi tan bhi jo dars diya tu ne wo azmat ka amin hai wo prem ki akhlaq ki khatam ka nagin hai kundan jo na ho jae wo sona hi nahin hai haq-go hai jo duniya hi mein jannat ka makin hai sar jhukte hain sab ke teri sarkar mein aa kar hum sajda-kunan hain tere darbar mein aa kar