deson mein sab se achchha hindostan mera ru-e-zamin pe jannat, jannat-nishan mera hindostan mera, hindostan mera wo pyara pyara manzar, wo mohni fazaen wo unche unche parbat wo dil-faza guphaen hindostan mera, hindostan mera tinon taraf samundar, chauthi taraf himala hai pasban is ka, is ka banane wala hindostan mera, hindostan mera ghunchon ka wo chatakna, phulon ka wo mahakna panchhi pakheruon ka wo subh-dam chahakna hindostan mera, hindostan mera dhime suron mein ganga ye git ga rahi hai jamuna bhi apne munh mein ye gunguna rahi hai hindostan mera, hindostan mera gokul ka ek gwala bansi baja raha hai bansi ki lai mein wo bhi ek git ga raha hai hindostan mera, hindostan mera duniya ke sare mewe is gulsitan mein hain sab nematen mayassar hindostan mein hain hindostan mera, hindostan mera mera nishan yahi hai, mera jahan yahi hai jannat meri yahi hai, mera makan yahi hai hindostan mera, hindostan mera