achanak aaj mujh ko raste mein mil gaya tha wo tumhaara nam leta tha mujhe kahne laga, anjum khuda-lagti kaho, tum ne bhi is mah-ru ko dekha hai tumhaari aankh bhi to husn ka idrak rakhti hai tumhein bhi aashnai hai ki khadd-o-khal kin kin zawiyon se husn ki tashkil karte hain to kya jo haal hai mera bhala kuchh aur hota tha? mujhe to us pe marna tha mujhe to khud ko rona tha! main us ki baat sun kar hans diya is shakhs ne us shakhs ko kis aankh se dekha! mujhe to yun laga jaise koi diwan-e-ghaalib ki munaqqash jild ki tarif karta ho