ajib shab thi jo ek pal mein simat gai thi ajib pal tha jo sal-ha-sal ki masafat pe par-fishan tha aur us ke sae mein ek mausam thahar gaya tha (kisi ke dil mein tha kya kisi ko khabar nahin thi) bas ek aalam supurdagi ka bas ek dariya-e-tishnagi tha ki jis ki maujen umad umad kar bikhar rahi thin khule samundar mein dub jaane ki aarzu mein machal rahi thin khayal husn-e-khayal mein gum nigah khwab-e-jamal mein gum na jaane kis khwab ki ye tabir thi ki aankhon mein jagti thi na jaane kis aarzu ki takmil ho rahi thi ki aankh se aankh lab se lab mahw-e-guftugu the magar bas ek baat mo'tabar thi kisi ke dil mein tha kya kisi ko khabar nahin thi wo lamha guzra ki sehr tuta yaka-yak ehsas-e-umr jaga har ek chehra khud apni aankhon mein aaina ho gaya ho jaise tilism-e-sim-sim se jis khazane ka dar khula tha wo yak-ba-yak kho gaya ho jaise ajib tha ek chor dil mein jo is khazane ka pasban tha jo sae ki tarah darmiyan tha taqaza-e-mah-o-sal tha wo? ki dil ki gahraiyon mein bedar koi khauf-e-maal tha wo? ajib sa ek khayal tha wo hujum-e-jazbaat mein dar aaya tha jo harif-e-visal ban kar jo dil ki dhadkan mein ruk gaya tha zamir ka ek sawal ban kar