harjai

sham laut aai ghani tariki
ab na aaegi khabar rahi ki

jagi taron ki har ek rah-guzar
dur udta nazar aata hai ghubar

aap ki baaten hain kitni phiki
kis ki rah takti ho kaun aane laga

kya tumhein bhi koi bahkane laga
un ki aankhen hain ki khwabon ka fusun

un ki baaten hain ki ulfat ka junun
aap ko kahe ka gham khane laga

nim-shab nind ke mate tare
rah tak tak ke kisi ki haare

kis qadar sachchi thin un ki baaten
un ke sath aai gai thin raaten

aap ke hath hain ya angare
main bhi samjhi thi use dil ke qarib

meri masum bahan meri raqib
kya kaha aapa nahin chup rahiye

achchha kah daliye kahiye kahiye
aap ki aankhen hain kis qadr muhib

subh ruk ruk ke sitare dube
gham na khao ki jo haare dube

aapa ji bhar ke mujhe rone den
gham ki maujon mein fana hone den

kaun sahil ke sahaare dube


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close