rone ki umr hai na sisakne ki umr hai jam-e-nashat ban ke chhalakne ki umr hai shabnam ki bund pi ke chatakne ki umr hai gulshan mein phul ban ke mahakne ki umr hai sad-marhaba ye gumrahi-e-shauq chashm-o-dil han rah-e-arzu mein bhatakne ki umr hai ek jurm hai khayal-o-tasawwur gunah ka ye umr sirf pi ke bahakne ki umr hai diwana ban ke najd ke sahra mein ghumiye laila ki justuju mein bhatakne ki umr hai bechain kyun ho ruh kisi ek ke liye har mah-wash pe jaan chhidakne ki umr hai is daur-e-imbisat mein ba-haalat-e-junun har ku-e-dilbaran mein bhatakne ki umr hai lazim nahin ki khud ko bachata phirun tamam shisha hun chot kha ke darakne ki umr hai taskin wo de rahi hain par ai qalb-e-na-subur tu aur bhi dhadak ki dhadakne ki umr hai jab chal pada hun ghar se to manzil ki shart kya hun rah-naward-e-shauq bhatakne ki umr hai hun aaftab-e-taza hua hun abhi tulua apne jahan-e-nau mein chamakne ki umr hai aiwan o takht-o-taj hain meri lapet mein shoala hun main ye mere bhadakne ki umr hai 'dauran' main bazm-e-dost mein chhedun na kyun ghazal ye zamzame ke din hain lahakne ki umr hai