do samundar jahan aapas mein mila karte hain main ne kitne sahar o sham guzare hain wahan main ne dekhi hai nikalte hue suraj ki kiran aur kal hote hue din ki shafaq dekhi hai main ne maujon ke talatum mein guhar dhunde hain aur pae hain khazaf reze bhi jal pani se jab ek bar nikala main ne ek ghada ret bhara hath aaya sabt thi mohr-e-sulaiman jis par aur khola to dhuen ka baadal pet se us ke numudar hua aadmi ke liye ye behtar hai ki muqaffal hi rahen kuchh chizen ye fazaen ye sitare ye falak waqt-e-gardan ki musalsal tik tik jaanwar kide makode hashraat machhliyan aur tuyur aur insan jo pahle din se aakhiri roz talak maut ki samt chala karta hai justuju par mujhe uksate hain aah lekin ye talash kar gai aur bhi hairan mujh ko kyun wo kashti hui surakh-zada jis mein hum raat ko par utre the rah chalte hue mudbhed hui thi jis se kis khata par wo jawan qatl hua kitne be-bahra the tahzib se is shahr ke log jin ko aate na the mehman-nawazi ke tariq phir bhala kis liye un ki khatir hum ne girti hui diwar ko tamir kiya raaz par raaz chhupa rakkhe hain ek budhe ne aur hum hain ki phira karte hain har larazte hue sae ka taaqub karte shama ki lau jise har aan badal deti hai do samundar ka jahan sangam hai main ba-dastur khada rahta hun dekhta hun kabhi udte hue zarraat ka raqs kabhi maujon ko sada deta hun aur aksar shab-e-tanhai mein baitha baitha un jaziron ko taka karta hun jin ke jalte hue, bujhte hue minara-e-nur meri manzil ka pata dete hain