dadi-amman (basti ke sab se mumtaz gharane ki beti sab se muazzaz aangan ki dulhan masha-allah sattar ke pite mein hongi) apna istehqaq mangti hain dada jaan ki das kam sath baras tak un se andhi ghup kali raaton mein chhup chhup ke milne aae biwi ki zarkhez aankhon mein sirf aulad-e-narina ke khwab uga ke chale gae ye shauhar ke raste mein hael na huin dil ke tukde hostelon mein pale-badhe haif ki un ke dukh-sukh mein shamil na huin dada-jaan ki sakht tabiat ne is ka mauqa hi na diya ye wo natiq jo khamosh rahin is na-zeba khamoshi mein aag lagane ke din aae ab apne chaqmaq mangti hain un ke andar tanhai ka zahr utarta chala gaya (aur zamana ird-gard se parchhain ki tarah guzarta chala gaya) sog mein hain, tiryaq mangti hain ek janam tak andhi gungi bahri ban ke apne hi ghar mein be-dakhl, be-qadri ke sakhi-hasan mein dafn rahin aaj nae aafaq mangti hain dadi aman talaq mangti hain