hain yaad-ha-e-rafta ke diwar-o-dar kahan wo sang-e-astan kahan wo rahguzar kahan dasht-e-wafa mein dawat-e-diwangi kise majbur gham ko rukhsat-e-ah-e-sahar kahan un raston mein dhundte phirte hain naqsh-e-pa ai ham-rahan-e-taza wo ahl-e-safar kahan hai kaun jis ko nazr karen aansuon ke phul le jaen aaj aabru-e-chashm-e-tar kahan har ajnabi se puchh rahe hain nishan-e-rah nau-waridan-e-shahr ko ghar ki khabar kahan dar dar ki khak chhante ye din to kat gaya ab fikr-e-shab hai dekhiye hogi basar kahan