asir-e-arzu hujum-e-be-aman sharab roz-o-shab ki aatish-rawan mein barhami ke qahqahon ki bazgasht ab hamare darmiyan ajib khwahishon ke bij bo rahi hai mere waste jo ajnabi hai us ko pas se guzarta dekh lun to us ki raushni ko noch lun jo us ke khun mein utar rahi hai us ke ek pal ko dusre se jodti hai tairti hai sans mein hawa ki wo sharir mauj chhin lun wo jaanwar hamari nasl ka nahin wo kyun hanse wo kyun jiye hamare ru-ba-ru hamari aarzu ke ru-ba-ru wo is zamin pe kyun chale ajib khwahishen ajab khwahishon ki ham-safar har ek aaina magar hai dusre ke samne ghaliz suraten ghaliz suraton ke samne main ajnabi wo ajnabi asir aarzu bhi magar siyah ka dil dil be-khabar wo daera rawan hai jis ke har safar ki intiha maqam-e-marg-e-tazgi maqam-e-marg-e-naghmagi hawa nami safed dhup zard phul dekhte hi dekhte guzar gae hamari aarzu ke bich mausamon pe chha gae