aaj bhi kitni an-ginat shamen mere sine mein jhilmilati hain kitne aariz ki jhalkiyan ab tak dil mein simin waraq lutati hain kitne hira-tarash jismon ki bijliyan dil mein kaund jati hain kitni taron se khush-numa aankhen meri aankhon mein muskuraati hain kitne honton ki gul-fishan aanchen mere honton mein sansanati hain kitni shab-tab reshmi zulfen mere bazu pe sarsaraati hain kitni khush-rang motiyon se bhari baaliyan dil mein timtimati hain kitni gori kalaiyon ki lawen dil ke goshon mein jagmagati hain kitni rangin hatheliyan chhup kar dhime dhime kanwal jalati hain kitni aanchal se phutti kirnen mere pahlu mein rasmasati hain kitni payal ki shokh jhankaren dil mein chingariyan udati hain kitni angdaiyan dhanak ban kar khud ubharti hain tut jati hain kitni gul-posh naqrai banhen dil ko halqe mein le ke gati hain aaj bhi kitni an-ginat shamen mere sine mein jhilmilati hain apne is jalwa-gar tasawwur ki jaan-faza dilkashi se zinda hun in hi bite jawan lamhon ki shokh-tabindagi se zinda hun yahi yaadon ki raushni to hai aaj jis raushni se zinda hun aao main tum se e'tiraf karun main isi shairi se zinda hun