pyar wafa ke dip jalaen ghar ko apne swarg banaen khelen kuden aur muskaen dekh ke khush hon jis ko maen pahla maktab ghar hai hamara dars usi se hum sab paen jis se milen phal ilm ke hum ko is mein aise paude lagaen pahle man aur bap se sikhen phir sab ko aadab sikhaen jo bhi hamare ghar mein aae pyar se us ko dil mein bithaen baat karen hum mithi mithi lafzon ke hum phul khilaen apne hon ya begane hon sab ko apna dost banaen khush honge man-bap hamare aao hum aise ban jaen aur phir is ke aage chal kar desh-pujari hum kahlaen nam ho raushan jis se ghar ka aise sundar dip jalaen