hawa har ek samt bah rahi hai jilau mein kuche makan le kar safar ke be-ant paniyon ki thakan le kar jo aankh ke ijz se pare hain unhi zamanon ka gyan le kar tere ilaqe ki sarhadon ke nishan le kar hawa har ek samt bah rahi hai zamin chup aasman wusat mein kho gaya hai faza sitaron ki fasl se lahlha rahi hai makan makinon ki aahaton se dhadak rahe hain jhuke jhuke nam-zada darichon mein aankh koi ruki hui hai fasil-e-shahr-e-murad par na-murad aahat atak gai hai ye khak teri meri sada ke dayar mein phir bhatak gai hai dayar sham-o-sahar ke andar nigar-e-dasht-o-shajar ke andar sawad-e-jaan-o-nazar ke andar khamoshi bahr-o-bar ke andar rida-e-subh-e-khabar ke andar aziyyat roz-o-shab mein hone ki zillaton mein nidhaal subhon ki os mein bhigti thithurti khamoshiyon ke bhanwar ke andar dilon se bahar dilon ke andar hawa har ek samt bah rahi hai