ye kah rahi hai ishaaron mein gardish-e-gardun ki jald hum koi sakht inqalab dekhenge nizam-e-charkh mein dekhenge ek taghayyur-e-khas sukun-e-dahr mein ek iztirab dekhenge khuda ne chaha to ab jald hi watan wale watan mein apna mission kaamyab dekhenge duaen ki hain jo ahl-e-watan ne ro ro kar yaqin hai jald unhen mustajab dekhenge zamana aane hi wala hai jab hum ai zalim tujhe bhi khwar tujhe bhi kharab dekhenge bahut hi jald tere sar pe bhi khuda ki qasam khuda ka qahr khuda ka itab dekhenge tujhe bhi dekhenge majbur-e-faqa-o-aflas tujhe bhi qaid-e-gham-o-iztirab dekhenge tujhe bhi apni tarah jald hi ba-fazl-e-khuda asir-e-silsila-e-pech-o-tab dekhenge tujhe bhi apni tarah pa-e-band-e-nala-o-ah yun hi majal-e-tbah-o-kharab dekhenge rawan-dawan tujhe hindostan se soe adam ba-qalb-e-zar o ba-chashm-e-pur-ab dekhenge ye dekhna hai jo kuchh hum ko us mein der nahin bahut hi jald bahut hi shitab dekhenge