dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare tahzib ki jannat hai ye jamuna ke kinare ye indr ke rangin akhade ki pari hai sadiyon mein ye zewar se tamaddun ke saji hai jamhur ne is shokh ke gesu hain sanware dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare har ek imarat se ayan jah-o-hasham hai har int pe tarikh-e-watan is ki raqam hai har zarre mein hain azmat-e-rafta ke sitare dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare minar wo minara-e-azmat jise kahiye masjid wo ki sajda-gah-e-fitrat jise kahiye fankaron ne mit mit ke hain har naqsh ubhaare dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare durweshon ne bhi is pe mohabbat ki nazar ki waliyon ne sada phulne phalne ki dua di ye zinda-o-painda hai khwaja ke sahaare dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare ye 'ghaalib'-o-'azurda'-o-'khusrau' ki chaheti gahwara-e-urdu hai abhi 'dagh' ki dehli dil mein abhi is ke hain mohabbat ke sharare dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare bachpan se rahi gardish-e-dauran ki saheli har daur mein ye gardish-e-ayyam se kheli bigde jo kabhi waqt ne abru hain sanware dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare ab khuld ki taswir hain ye kucha-o-bazar ye zohra-jabin khanda-ba-lab paikar-e-anwar jis tarah utar aae hon gardun se sitare dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare dehli nahin ye azmat-e-mashriq ka nishan hai is daur mein bhi naghma-gar-e-amn-o-aman hai maghrib se kaho 'rifat'-e-dehli ko pukare dekho nigah-e-shauq se dehli ke nazare