zara nazren uthao dekho su-e-asman hai kya saman dekho rawan hai ye umandte baadalon ka karwan dekho magar ye kya hawaon mein tapish hai maujzan kaisi fazaon mein ghutan kyon hai nahin ye baadalon ka karwan to ho nahin sakta dhuan hai ye dhuan dekho ubharti hain fazaon mein ye dahshatnak chikhen aur fariyaaden fazaen sahmi sahmi hain hawaen muztarib si hain yaqinan lag gai hai aag han ye aag hi to hai jise paiham bujhane ki hain sari koshishen jari magar ye aag to badhti hi jati hai bahar-su khauf hai tari fazaon mein dhuen ke hain bade saffak marghule kahin ye aag badh kar aasman ko hi na ab chhu le nihayat karb mein duba hua mahaul hai sara bujhegi aag ye kaise ki ye pani nahin petrol hai sara ye badhti ja rahi hai aag har jaanib yahan dekho bujhane ki ye sai-e-raegan dekho