riyaz-e-shauq mein aai bahaar id ke din nazar-faroz hua ru-e-yar id ke din ada ada mein inayat nazar nazar mein karam meri khizan bhi hai ab tak bahaar id ke din hain un ke jalwon ki arzaniyan payam-e-nashat nahin hai dil mein gham-e-rozgar id ke din dil-e-fasurda mein phir khun-e-sarkhushi dauda wo aa ke mujh se hue ham-kanar id ke din nigah-e-shauq pe parwana-war girti hain tajalliyan bhi hain be-ikhtiyar id ke din na un ki aankhon mein ghussa na kuchh jabin pe shikan baras raha hai nigahon se pyar id ke din nigah-e-mehr ki garmi hai raushni dil ki hai bazm-e-shauq meri kaamgar id ke din wo fart-e-shauq mein hans hans ke mil rahe hain gale hai shad 'jauhar'-e-sina-figar id ke din