main karb mein mubtala thi zindagi ki aziyyaton se do-chaar zindagi ke fasle aur maut ke qarib main apni ragon ki qaidi apne dukhon ke hisar mein thi zindagi se dur hoti rahi thi ki mere jism mein ek tanaw hua aur dekhte hi dekhte wo mere jism ka ek hissa ban gaya meri pahchan mere pyar ki takhliq mere khun ka wajud mujh mein tahlil ho gaya main zinda hun main nikhar gai aur wo meri zindagi mein bikhar gai mere pyar ki khushbu meri beti jo mera dusra janam hai