harf-e-dua ho jae

khwahishon ke ghane bargad ke tale jo kat jae
zindagi khwab-gah-e-nikhat-e-gesu to nahin

naghma-e-arzu sanson mein ghula jata hai
hasraten kawish-e-insan ki jibillat to nahin

phir bujha sa hai nigahon mein charagh-e-sahari
rah gae khwab adhure meri palkon ke tale

apne hi khun mein rangi wasl ki betab ghadi
zakhm-dar-zakhm kai waqt ke khanjar tute

ek ehsas hi ab zinda-o-painda hai
khwahishon ke ghane bargad ke tale zist kate

mausam-e-kaif khush-anjam ki ummid liye
nim-taban ye nazar harf-e-dua ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close