suraj ne jate jate badi tamkanat ke sath zulmat mein dubti hui duniya pe ki nazar kahne laga ki kaun hai ab us ka pasban mere siwa hai kaun zamane ka rahbar main tha to apni rah pe thi gamzan hayat ab main nahin rahunga to ye sari kaenat zulmat mein bhatakti phiregi tamam raat suraj ye kah ke ja hi raha tha ki ek diya chupke se jal utha aur use dekhne laga