mere lafz mere lahu ki lau mere dil ki lai jise nur-e-nai ki talash hai mere ashk mere wo harf hain jo mere labon pe na aa sake main agar kahun bhi to kya kahun ki hanuz meri zaban mein hai wahi na-kushuda-girah ki thi tu sune to abr bhi naghma hai tu sune to mauj-e-hawa bhi rag ki tan hai tu sune to pat bhi phul bhi kisi gupt git ke bol hain gul-o-yasman hon ki mehr-o-mah har ek apni saut-o-sada mein kaamil-o-tam hai mera lafz naqis-o-kham hai raha na-tamam jo kah saka jo na kah saka wahi baat asl-e-kalam hai tu sune to koi ajab nahin ki meri nawa ka hunar khule tu sune to koi ajab nahin ki sukhan ka satwan dar khule