jahan-zad wo halab ki karwan-saraa ka hauz, raat wo sukut jis mein ek dusre se ham-kinar tairte rahe muhit jis tarah ho daere ke gird halqa-zan tamam raat tairte rahe the hum hum ek dusre ke jism o jaan se lag ke tairte rahe the ek shad-kaam khauf se ki jaise pani aansuon mein tairta rahe hum ek dusre se mutmain zawal-e-umr ke khilaf tairte rahe tu kah uthi 'hasan yahan bhi khinch lai jaan ki tishnagi tujhe!' (lo apni jaan ki tishnagi ko yaad kar raha tha main ki mera halq aansuon ki be-baha sakhawaton se shad-kaam ho gaya!) magar ye wahm dil mein tairne laga ki ho na ho mera badan kahin halab ke hauz hi mein rah gaya nahin, mujhe dui ka wahima nahin ki ab bhi rabt-e-jism-o-jaan ka e'tibar hai mujhe yahi wo e'tibar tha ki jis ne mujh ko aap mein samo diya main sab se pahle 'ap' hun agar hamin hon tu ho aur main hun phir bhi main har ek shai se pahle aap hon! agar main zinda hun to kaise aap se dagha karun? ki tere jaisi aurten, jahan-zad, aisi uljhanen hain jin ko aaj tak koi nahin 'sulajh' saka jo main kahun ke main 'sulajh' saka to sar-ba-sar fareb apne aap se! ki auraton ki sakht hai wo tanz apne-ap par jawab jis ka hum nahin (labib kaun hai? tamam raat jis ka zikr tere lab pe tha wo kaun tere gesuon ko khinchta raha labon ko nochta raha jo main kabhi na kar saka nahin ye sach hai main hun ya labib ho raqib ho to kis liye teri khud-agahi ki be-riya nashat-e-nab ka jo sad-nawa o yak-nawa khiram-e-subh ki tarah labib har nawa-e-saz-gar ki nafi sahi!) magar hamara rabta visal-e-ab-o-gil nahin, na tha kabhi wajud-e-admi se aab-o-gil sada barun rahe na har visal-e-ab-o-gil se koi jam ya subu hi ban saka jo in ka ek wahima hi ban sake to ban sake! jahan-zad ek tu aur ek wo aur ek main ye tin zawiye kisi musallas-e-qadim ke hamesha ghumte rahe ki jaise mera chaak ghumta raha magar na apne-ap ka koi suragh pa sake musallas-e-qadim ko main tod, dun jo tu kahe, magar nahin jo sehr mujh pe chaak ka wahi hai is musallas-e-qadim ka nigahen mere chaak ki jo mujh ko dekhti hain ghumte hue subu-o-jam par tera badan tera hi rang teri nazuki baras padi wo kimiya-gari tere jamal ki baras padi main sail-e-nur-e-andrun se dhul gaya! mere daron ki khalq yun gali gali nikal padi ki jaise subh ki azan sunai di! tamam kuze bante bante 'tu' hi ban ke rah gae nashat is visal-e-rah-guzar ki na-gahan mujhe nigal gai yahi pyala-o-surahi-o-subu ka marhala hai wo ki jab khamir-e-ab-o-gil se wo juda hue to un ko samt-e-rah-e-nau ki kaamraniyan milen main ek gharib kuza-gar ye intiha-e-marifat ye har pyala-o-surahi-o-subu ki intiha-e-marifat mujhe ho is ki kya khabar? jahan-zad intizar aaj bhi mujhe hai kyun wahi magar jo nau baras ke daur-e-na-saza mein tha? ab intizar aansuon ke dajla ka na gumrahi ki raat ka shab-e-gunah ki lazzaton ka itna zikr kar chuka wo khud gunah ban gain! halab ki karwan-sara ke hauz ka, na maut ka na apni is shikast-khurda zat ka ek intizar-e-be-aman ka tar hai bandha hua! kabhi jo chand saniye zaman-e-be-zaman mein aa ke ruk gae to waqt ka ye bar mere sar se bhi utar gaya tamam rafta o guzishta surton, tamam hadson ke sust qafile mere darun mein jag uthe mere darun mein ek jahan-e-baz-yafta ki rel-pel jag uthi bahisht jaise jag uthe khuda ke la-shuur mein! main jag utha ghunudgi ki ret par pada hua ghunudgi ki ret par pade hue wo kuze jo mere wajud se barun tamam reza reza ho ke rah gae the mere apne-ap se firaq mein wo phir se ek kul bane (kisi nawa-e-saz-gar ki tarah) wo phir se ek raqs-e-be-zaman bane wo ruyat-e-azal bane!