khuda ne banai hai ye kaenat ye phal phul paude ye din aur raat ye suraj ki garmi ye kheton mein naj pahadon ko pahnaya sabze ka taj ye chidiyon ki chahkar sham-o-sahar zamin ke khazane ye lal-o-guhar samundar ye tufan aab-o-hawa ye barish ka mausam ye kali ghata ye jangal pe chhaya hua ek surur ye dilkash manazir chahakte tuyur main qudrat khuda ki bayan kya karun jo zahir hai sitwat ayan kya karun