ab shor thama to main ne jaana aadhi ke qarib ro chuki hai shab gard ko ashk dho chuki hai chadar kali khala ki mujh par bhaari hai misl-e-maut shahpar hai sans ko rukne ka bahana tasbih se tutta hai dana main nuqta-e-haqir aasmani be-fasl hai be-zaman hai tu bhi kahti hai ye falsafa-taraazi lekin ye sansanati wusat itni be-harf o be-murawwat aamada-e-harb-e-la-zamani dushman ki ajnabi nishani