raat dadhi ke andhere se takalluf barte arsh ke samne ruswai ki gardan na uthe izn-e-sajda pe kamar takhta na ho jae kahin khokhle lafzon mein loha to nahin bhar sakte saikadon sal ki tabligh ke chaalis samar kashti ban jae to tannur se pani uble salha-sal se aaram natija matlub tin-sau-sath sanam khana-e-kaba se chale reg-zaron mein ghubar aur khajuri sae unt ki aankh mein tashhir hua dard-e-safar koi 'hinda' se kahe dant kahan hain tere fath-e-makka se magar log hidayat paen khun jam jae jo nalain mein chalte chalte arsh ki aankh se rahmat ka samundar uble jibrail apni haiat mein hain numaish-manzar panw patal mein sar charkh se takrae kahin par jo khole to har ek samt pe parde latken aur jalta hua suraj abhi kho jae kahin qafila aaya hai 'bu-bakr' se mansub magar mal taqsim hua daman-e-hajat-mandan nur kandhe pe uthae shab-e-hijrat ke safir ghaar mein sath rahe pas hi paiwand hue masjid-e-nabwi mein ambar-e-ghanimat raushan log rote hue nikle hain pareshan-manzar raushni pahunchi 'abu-jahl' ki diwaron tak ghar ki tariki mein rasta na bane binai ped ke sae ki pahchan yahudi rahib ruk gaya aab-e-rawan bewa ke darwaze par dast-e-zohra mein nishanat ayan chakki se ilm ke bab 'ali' umr mein sab se chhote chand ka nam tere chaak-garebanon mein mubtadi dhundte hain masjid-e-aqsa mein imam sidrat-ul-muntaha jibril ijazat mange kaun tha kis ne pukara ki chale bhi aao kaun maujud tha pahle se wahan kaun gaya kaun sunta tha wahan kis ne pukara kis ko kis ki aawaz ki tanwir se aalim chamke sar-bulandi thi muqaddar mein qalam se pahle bakriyan kaun 'halima' ki charane jae 'amina' batn se izhaar hai aadam ka uruj mujtama kis ne kiya logon ko parbat ke qarib kis ne lalkara zalalat ko musalsal tanha jau ki roti kabhi mil jae kabhi faqa-kashi bhuk se pet pe patthar kabhi bandhe kis ne tin-sau-terah ki tadad hai kis ginti mein fikr pe daera-kun khandaqen khodi jaen dur ki dhup mein hai faisla-kun rah-e-tabuk 'hanzala' samne aa jaen jo chhat jae ghubar main ne pahuncha diya tum tak jo mujhe pahuncha tha main ne pahuncha diya tum tak jo mujhe pahuncha tha main ne pahuncha diya tum tak jo mujhe pahuncha tha koi pardesi hai kheme pe pareshan-surat aur 'faruq' chale biwi ko ham-rah liye fasle tod kar aawaz ke sae phaile hakim-e-waqt ka kurta kai paiwand laga bakriyan jis se sambhaali nahin jatin thin kabhi nisf duniya pe khilafat ke alam lahrae yaad hai sahibo khaibar ko ukhada kis ne kis ki talwar thi aaina zamane ke liye kis ne zarkhez shujaat ke sitare boe jaan di jawedan lamhat tilawat mashghul khun ke dhabbe hain quran pe tabinda nazar kaun rota tha musalle pe hamari khatir pair warma gae kis ke shab-e-sajda-o-qiyam do mahinon mein makanon se dhuan tak na uthe fikr-e-ummat ki har ek lamha lahu mein karwat jism raushan tha chatai ke nishan bhi raushan galiyan khate phiren makka ke bazaron mein aur tanha kabhi taef se nikale jaen marhaba shukr ka thahrao bahishti zewar marhaba sabr ka irfan ki meraj-e-hayat nur majsum hua gumbad-e-khazra markuz hashr ki subh darakhshan ho maqam-e-mahmud hath raushan rahe kausar se qarabat manzar khun ab sard hua jata hai shiryanon mein aur badhti hui tadad bharosa tode nafs daudata hai phir jaanib-e-shahwat ghode lazzat-e-shai mein hain madum charaghon ki lawen raushni apne padosi ko bhi pahuncha na sake ruh ab shoalagi mange hai har ek zarre se koi ilyas ki baaton pe zara kan dhare koi yusuf se shahadat ke maani puchhe koi taqsim kare waqt ko masjid masjid koi baiat to kare dast-e-zakariya hazir markaz-e-ishq pe pahuncho to ho inam-e-nazar ek ek lamha ke chehre se ayan izn-e-safar gumrahi qilon mein mahfuz rahegi kab tak sar uthaegi hawa baadban khul jaenge band darwazon pe dastak ki sada gunjegi dhup dahliz pe pahunchaegi mehmanon ko saeban sar pe ababil liye sath chale talkh tahzib ke sahra mein azan lahrae gunj utthega haram nara-e-labbaik, zamin tere qadmon mein ugal degi khazane apne teri taqlid mein maghrib ki baqa poshida teri tazlil mein jo hath uthe kat jae teri nusrat ke liye aasman koshish maqsud silsile tere banen zeb-e-jahan-e-fani nur majsum hua gumbad-e-khazra markuz hashr ki subh darakhshan ho maqam-e-mahmud